Tuesday, August 16, 2011

socho jara aisa ho to kya ho


pani doob jaye dariya mein to pani ka kya ho

sans lene lage hawa to hawa ka kya ho

aag jalne lage khud se to rakh kon ho

andhera gum jaye andhere mein to roshani ka kya ho


log karte rahe arzoo to arzoo ka kya ho

band rahe ankhen to najro ka kya ho

dhdakta rahe dil to insaan ka kya ho

chalti rahe sansein to jindagi ka kya ho


kya hoga jab waqt bewaqt ruk jayega

ek din suraj jal kar rakh ho jayega

chanda rahega dharti par ya andhere mein gum jayega

kya hoga taro ka jab chanda kho jaye


kya hoga vishwas ka jab dhoka nahi hoga

kya hoga sapno ka jab koi sota nahi hoga

kya hoga khusiyon ka jab dukh nahi hoga

kya hoga haqiqat ka jab jhoot nahi hoga



No comments:

Post a Comment