Monday, April 9, 2018

Khud ka suroor poetry

Khud ka suroor mit-ta ja raha hai
     apne pe bharosa ab hilta ja raha hai

aisa lagta hai sab choot gaya haat se
    mere sabr ka kila ab girta ja raha hai

talash thi jis jindagi ki
    safar uska pura hota ja raha hai

na wo mili na use milane wale
   kuch bachi yaado ke sahare waqt kat-ta ja raha hai

kar raha hu khud se koshish
   khud ki aarjoo badalta ja raha hoo

kya karu kuch samajh nahi aa raha
  samajhne ka silsila badalta ja raha hoom

Waqt Ki Gehrai quote

khud se jhukaya poetry

e upper wale....

maine tere samne sar jhukaya, 

         tumne mujhe duniya ke samne jhukaya

maine tujhse kuch manga, 

         aur khud ko duniya se mangta paya

jab bhi koshish ki uthne ki, 

         tune mujhe apne tareeke se jhukaya
 

ab waqt ka intzaar karun ya tere didaar ka

dono ke intzaar ne mujhe khud se jhukaya