Tuesday, August 16, 2011

Kyon Aisa Lagta Hai


ye husn hai unka jo kayamat lagta hai
sawan ki har boond ispe nayab moti lagta hai
hum barish se kyon shikayat kare
dil tujhe bahon mein lene ki ibadat karta hai

har ruh mein meri wo bas gaye hai aise
aag mein lipti teri low ho jaise
gawahi de raha hai chand aaj
sitare sharm se odh chuke hain badal jaise

meri jindagi teri sanson ki mohtaaj lagti hai
tujhe pyaar karna ik pyaari saza aaj lagti hai
mein hosh mein hoon madhosh to nahi
E janashi mujhe malika-e-husn tu aaj lagti hai

No comments:

Post a Comment