Tuesday, August 16, 2011

Kya Yahee Pyaar Hai

Har ada pe unki
marne ka ji karta hai
Unhe pyaar karne ka
kareeb rehne ka ji karta hai
Ab to zindagi aur kat-ti nahi
kisi ki dhadkano ko apni saanse banane ka ji karta hai

Kyon lagta hai aisa
dil nahi hai paas
De diya hai unko
unke jane ke baad
Ab to tanha safar aur katta nahi
kyon kabhi jine ka kabhi marne ka ji karta hai

Ab to har pal sochte hain unko
asman mein kabhi taro mein dekhte hain unko
Kyon unhe pane ki khatir
had se gujarne ka ji karta hai

No comments:

Post a Comment