Tuesday, August 16, 2011

Andekha Pyar

In jheel si gehri ankhon mein
doob jaane ka ji karta hai
Tere in resami balo ke saye mein
so jaane ka ji karta hai

Ye gulab se lal hont tere
ye chadta hua sabab
Tere aagosh mein akar
apne pyar ka izhaar karne ka ji karta hai

Chune se tujko ehsaas naya hota hai
Na ho tu paas to ik dard naya hota hai
Awaz deta hai, bas tumahri baat karta hai dil
Tumhe pane ka, apna banane ka ji karta hai

Hum to bas tumare sath rehna chate hain
Tumahri sanso ko apni sanse banana chate hain
Akhir tum hi to ho mera andekha pyar
Bas tumare sath zindagi bitane ka ji karta hai

No comments:

Post a Comment