Monday, October 24, 2011

Wishing you Happy Diwali 2011

diyo ki roshni, phoolo ki sugandh
jagmagata hai jahan, mehkta hai har ghar
 
chal rahe hai patakhe, phoot rahe hai bamm
khoob ho rahi hai atisbaji, ho raha hai laxmi ka aagman
 
khusiyan bato, jasn manao...
hai diwali ka tyohar....
jhomo, nacho, mast ho jao....
 
Wishing you a very happy Diwali 2011

Thursday, October 20, 2011

UNIFYING NUMBER NINE 9

UNIFYING NUMBER NINE
9
 
AS REVEALED BY SRI SAIBABA MANDIR
(SHIRDI) CHANDRAPUR
 
Shirdi SAI BABA's Religion Was Known To No One
Including Himself
So we have 26 alphabets in English,
as given below
A B C D E F G H I J K L M N O P Q R
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18
S T U V W X Y Z
19 20 21 22 23 24 25 26
 
Assigning each alphabet a number in sequence as above, and adding them review the following, and
bring down the total to a single digit and see the result yourself

Hindu
S h r e e K r i s h n a
19+8+18+5+5+11+18+9+19+8+14+1=135=9

M u s l i m
M o h a m m e d
13+15+8+1+13+13+5+4=72=9
 
Jain
M a h a v i r
13+1+8+1+22+9+18=72=9
 
Sikh
G u r u N a n a k
7+21+18+21+14+1+14+1+11=108=9
 
Parsi
Z a r a t h u s t r a
26+1+18+1+20+8+21+19+20+18+1=153=9
 
Buddhist
G a u t a m
7+1+21+20+1+13=63=9
 
Christian
E s a M e s s i a h
5+19+1+13+5+19+19+9+1+8=99=18=9
Each one ends with number 9

GOOD LUCK AND GOD BLESS HUMANITY
 

Friday, August 26, 2011

THE MASTER PLAN OF THE LORD FOR EVERYONE !!!

READ & UNDERSTAND………………

 

 

Once there was a sweeper in a well known temple and he was very sincere and devoted. Every time he saw thousands of devotees coming to take darshan of the Lord, he thought that the Lord is standing all the time and giving darshan and he must be feeling very tired.

 

So one day very innocently he asked the Lord whether he can take the place of the Lord for a day so that the Lord can have some relief and rest. The Deity of Temple replied, "I do not mind taking a break. I will transform you like Myself, but you must do one thing. You must just stand here like Me, smile at everyone and just give benedictions. Do not interfere with anything and do not say anything. Remember you are the deity and you just have faith that I have a master plan for everything." The sweeper agreed to this.

 

The next day the sweeper took the position of the deity and a rich man came and prayed to the Lord. He offered a nice donation and prayed that his business should be prosperous. While going, the rich man inadvertently left his wallet full of money right there. Now the sweeper in the form of deity could not call him and so he decided to control himself and keep quiet.

 

Just then a poor man came and he put one coin in the Hundi and said that it was all he could afford and he prayed to the Lord that he should continue to be engaged in the Lord's service. He also said that his family was in dire need of some basic needs but he left it to the good hands of the Lord to give some solution. When he opened his eyes, he saw the wallet left by the rich man. The poor man thanked the Lord for His kindness and took the wallet very innocently. The sweeper in the form of the Deity could not say anything and he had to just keep smiling.

 

At that point a sailor walked in. He prayed for his safe journey as he was going on a long trip. Just then the rich man came with the police and said that somebody has stolen his wallet and seeing the sailor there, he asked the police to arrest him thinking that he might have taken it. Now the sweeper in the form of Deity wanted to say that the sailor is not the thief but he could not say so and he became greatly frustrated. The sailor looked at the Lord and asked why he, an innocent person, is being punished. The rich man looked at the Lord and thanked Him for finding the thief. The sweeper in the deity form could no more tolerate and he thought that even if the real Lord had been here, he would have definitely interfered and hence he started speaking and said that the sailor is not the thief but it was the poor man who took away the wallet. The rich man was very thankful as also the sailor.

 

In the night, the real Lord came and He asked the sweeper how the day was. The sweeper said, "I thought it would be easy, but now I know that Your days are not easy, but I did one good thing." Then he explained the whole episode to the Lord. The Lord became very upset on hearing this whereas the sweeper thought the Lord would appreciate him for the good deed done.

The Lord asked, "Why did you not just stick to the plan? You had no faith in Me. Do you think that I do not understand the hearts of all those who come here? All the donation which the rich man gave was all stolen money and it is only a fraction of what he really has and he wants Me to reciprocate unlimitedly. The single coin offered by the poor man was the last coin he was having and he gave it to Me out of faith. The sailor might not have done anything wrong, but if the sailor were to go in the ship that night he was about to die because of bad weather and instead if he is arrested he would be in the jail and he would have been saved form a greater calamity. The wallet should go to the poor man because he will use it in My service. I was going to reduce the rich man's karma also by doing this and save the sailor also. But you cancelled everything because you thought you know My plan and you made your own plans."

 

God has plans and justice for everyone..... We just have to have patience!!!!! 

 

The credit of the story line goes to the writer of this. I just got this in my mail, liked it and published for everyone!!

Tuesday, August 16, 2011

na ansu nikle na awaz aayee


na ansu nikle na awaz aayee

dil toot gaya hamara par baat juba par na aayee

kis se kehte hum hale-dil apna

jab jab najar uthayee, khud ki tasveer najar aayee


yu laga kismat ne li fir angdayee

ye kya hua, ek bar dard ki lehar fir aayee

khud ko to sambhal liya par waqt par jor na chal saka

kabhi hawa se thokar khayee to kabhi lamho se saja payee


dil ne na jane kaisi kaisi chahat banayee

har sapna har manjil adhuree najar aayee

bas ek himmat hi hai jo hame apni najar aayee

bas isi ke dum pe hamne iss jaha me thodi si jageh apni banayee


par aise jine ka mann nahi karta ab

badi bereham hai ye duniya, sansein lene ka man nahi karta ab

par hamari jindagi par auro ka bi haq hai

ghabra nahi pyare ye bi ek waqt hai


badlega mausam, hawa ka rukh bi badlega

apna waqt aayega to sabka waqt badlega

bas isi umeed mein ji rahe hai hum

par khali umeed se jivan nahi badlega


bohat kuch karna hai, bada lamba safar hai

na jane kya hoga, bas manjil pe najar hai

e bhagwan tu sath de mera

tere hi sahare iss duniya mein aman hai



socho jara aisa ho to kya ho


pani doob jaye dariya mein to pani ka kya ho

sans lene lage hawa to hawa ka kya ho

aag jalne lage khud se to rakh kon ho

andhera gum jaye andhere mein to roshani ka kya ho


log karte rahe arzoo to arzoo ka kya ho

band rahe ankhen to najro ka kya ho

dhdakta rahe dil to insaan ka kya ho

chalti rahe sansein to jindagi ka kya ho


kya hoga jab waqt bewaqt ruk jayega

ek din suraj jal kar rakh ho jayega

chanda rahega dharti par ya andhere mein gum jayega

kya hoga taro ka jab chanda kho jaye


kya hoga vishwas ka jab dhoka nahi hoga

kya hoga sapno ka jab koi sota nahi hoga

kya hoga khusiyon ka jab dukh nahi hoga

kya hoga haqiqat ka jab jhoot nahi hoga



Tu aur teri yaad

teri ankho ki gehrayee mein doob jane ka man karta hai

teri muskurahat pe ja nissar karne ka man karta hai

ye tere lehlahate sunehre balo ki kasam........

teri iskq ki diwanagi mein had se gujar jane ka man karta hai


teri sadagi hai sona tera......

iss sone ki tapis mein jal jane ka man karta hai

wo murat hi kya teri surat nahi jisme...

har murat pe teri surat banane ka man karta hai


e kash tu hawa ban jati, hum sanso mein basa lete tujhe..

e kash tu najar ban jati, hum ankho mein chipa lete tujhe...

e kash tu dekh sakti chahat meri...

ishq samander mein pyar ki kashti se le jate tujhe


jiya jata nahi bina dekhe tujhe

tujhe mehsoos karke jiye ja rahe hain

nahi hai tu kismat hamari......magar

apni kismat ko dhoka diye ja rahe hain




Meri jannat jaha hai




Aahat, jise hum mehsoos karte they

Awaz, jise hum suna karte they

wo chera tha anjana tera

jise band ankho se hum dekha karte they


badlo mein teri tasveer banate they

pani ki barf hato mein jamate they

sagar ki lehre uthti thi kinaro ki taraf

har kinare pe khade hoke hum tujhe awaz lagate they


tera milna tha yu kismat hamari

kyon har lakeer par hum kehar dhate they

tera ishk hi to jannat hai

kyon hum asuon ka makbara banate they


jindagi tere naam kar dunga

har khusi tujhpe nisaar kar dunga

tujhe pana hi to ab ik sapna hai

na mili to akhri salam kar dunga


o pariyo ki rani baharo ki malika

meri sanson ki kasti ab tere hi sahare hai

dubna chati hai ye ishk ke samandar mein

na dubi to iski duniya tere hi hawale hai



izhare dil 7 din ka


jab bhi teri yaad aayee

labo pe tera naam aaya

nazro ko dikhi tasveer teri

sanson ko tere kareeb paya


tujhe ishk karne ki chah mein

sayad hum jeena bhool gaye

yun to begane they duniya mein

ab khud se bhi begane hone lage hain


e ghata tu bata

kya haal hai mere dildaar ka

e hawa tu bata

kya unki sansein hame yaad karti hain


e chand tu bata

kya hamari tareh wo bhi tujse baat karte hain

o nazaro tum batao

kya wo bhi hame dekha karte hain


awaz aati hai magar

kano ko tasali nahi milti

nazar aate hain magar

ankhon ko karar nahi aata


yun to intzaar mein rehte hain har dum

magar aaj palke nahi jhukti

sansein pegam lati hain unke aane ka

magar e mohobat teri tasveer nahi dikhti




ye mohobat


ye mohobat na jane kyon aisi hoti hai

dard deti hai bohat bedard hoti hai

hum isey pane ki koshish karte hai

kyon ye pass aake door jane ki koshish karti hai


wo mast honge apni duniya mein

hum yaha apno ke beech begane hain

mohobat ki hai hamne beintaha unse

abhi unki junba se pyar ke fasane baki hai


dil banke dhadakte hain wo dil mein hamare

sansein banke ke ruh mein utrte hain

na jane kyon itna ishk karte hain unko

kyon unke intzaar mein din raat tadpte hain




Dil Diwana


door tak jati jaha najar hai meri

tera chera mujhe najar aata hai wahi

teri aawaz ko taras gaye hain hum

tere shiwa kisi aur ka fasana labo mein aata mahi


wo tere ghar ki bijli ka jana

beech mein tumari mom ka aana

jab dil ko mere dard hone lage

tabhi mobile pe teri call ka aana


sansein intzaar karti hain dil ke darwaje pe

najro ko teri talash rehti hai

dekhta hoon jab tasveer teri

har ruh ko teri pyass rehti hai


ab tujhe sunne ke baad hi kano ko sukun aayega

tujhe dekhne ke baad bechain ankhon ko chain aayega

tera khayal mujhe bilkul nahi iss baat ki,

jhooti tasali dene ki iss dil ko koshish karta hoon


hai isk gar tujhe hamse tu khud bhi itna tadpti hogi

honto pe tere khushi hogi magar dil mein ek chubhan bhi hogi......

sayad dil ke kisis kone mein mere liye bhi jageh khali hogi..............

tujhe yaad aati hogi meri ya katal-e-mobobat ye meri jhooti umeed hogi....




Kismat hamari


Na tu itra karwato pe apni

teri kismat lagti khusnasseb hai

chumti hai teri lehre haseen kadam jinke

unhe pane ka hamein bhi suroor hai


E hawa ab tu bhi hamein yun na sata

yakinan tu chu kar unhe aayi hai

unki muskurahat ki ik jhalak ke liye jite hain hum

tu hamare rukshat hone ka pegam layi hai


Uf tere ye lehlahate bal

tere mathey ko chuta ye beri pasina

teri ankhon mein basi ye khoosiyon ki surat

tere honto se lipta ye dilkash tarana


kar khayal apne iss diwane ka, arzoo ye bhi teri karta hai

iss bhi to ek moka de, tere pass aane ka tujhe apna banane ka



e kash aisa hota

e kash mein hawa hota, tere husn ko chuta har dum

e kash mein pani hota, tere honto pe rehta har dum

e kash mein jariya hota, teri bato mein rehta har dum

e kash mein ruh hota, tere jism mein basta har dum


e kash mein waqt hota, tere liye hi chalta har dum

e kash mein nadiya hota, tere liye hi behta har dum

e kash mein bahar hota, tere liye hi aata har dum

e kash mein khusbu hota, sirf tujhe hi mehkata har dum


e kash mein khab hota, tere hi sapno mein aata har dum

e kash mein manjar hota, sirf tujhe hi najar aata har dum

e kash mein lamha hota, bas tere liye hi hota har dum

e kash mein aarzoo hota, tujhe hi manjil banata har dum


e kash mein khuda hota, sirf teri hi murat banata har dum

e kash mein haiqqiqat hota, to yun sapna na banta har dum

game ulfat to dekho iss diwane dil jinda hoke bhi jinda nahi

tere isk mein jita marta hai ab tere shiva koi aur majil nahi


Irrada hai


tujhe ankhon mein basane ka irada hai

tujhe palko mein sulane ka irada hai

tu meri ho na ho......

tujhe apna banane ka irada hai


tera door rehna iss dil ko ganwara nahi

tujhe khabo mein dekhna ab maksad hamara nahi

tujhe padne ki koshish karta hoon

tujhe bhool jata magar koi bahana nahi


phool tujhe dekh kar isara karte hain

tere pass aane ka zustju karte hain

rask karti hai lo, roshni pe uski

chand ko bhi tujhe dekh ke pasina aata hai


ibadat karoo to kya karoo wajeh nahi hai mere pass

muskurate hain hont mere dil mein lagi huee hai aag

na karta to kaise karta dil nahi hai mere pass

le liya hai tune ik muskurahat ke baad


tukhe dil banane ka irada hai

mohobat karne ka irada hai

ashiq bani huee hai manzil

hame bhi pyar ki kashti chalane ka irada hai




E husn


Nakhre husn ki adat hai

tadapna ashiqo ki nishani hai

wo chahat hi kya ehsaas nahi jisme

mere dil ka dhadakna tere pyaar ki meharbani hai


Warna.......

ye dhadakna band kar deta

sansein ruk jati

andhera cha jato ankhon mein hamari

iss dil ki aas bujh jati


Teri mohobat ne hamein diwana kar diya

madhosh kar diya, bekabu kar diya

hum to sagar kinare bethey they sapno ki duniya mein

tere pyar ki lehre hamein bahakar le gayee


hame diwana kar gayee, bekaboo kar gayee



Tujhe Ishq Karu To Kaise Karu

Teri reshmi julfo ka andhera

ye jheel si gehri ankhen

ye surkh gulabi hont tere

tere kadmo ki ye aahat


Nazre tera didar karna chati hain

sansein tujhe mehsoos karna chati hain

dil dastak deta hai dhadkano mein

mere jism ki khusboo tere badan se liptna chati hai


Sangmarmar si tarashi koi murat hai tu

fijaon mein basi koi jannat hai tu

tujhe ishq karu to kaise karu

mere dil mein basi, khyalo se bani surat hai tu


Sirf Tum


E aaine bata teri raja kya

tujhe isk hai unse ya hamase gila hai

log kehte hai tu haqqiqat baya karta hai

fir kyno tere arsh par chera unka ubharta hai


E sagar ki lehro mujhe itna batao

kyon jati udhar ho mera pyaar jaha hai

teri gehrayee se gehra hai isk hamara

apni umango ko na yu lehro mein bahao


E Chand tujhe teri chandani ki kasam

chup ja thodi der ke liye tujhe mohobat ki kasam

gar dekh liya mere chand ko, tu kho jayega

ruswa ho jayegi chandani teri, tujhe hamse gila ho jayega


Jahlak Dikhla Ja, Ek Bar Aaja


Kitna Haseen mosom, teri pyari yade
har boond mein chamakta tere chere ka noor
ye badal hain ya tere husn ki kayamat
tu bin dekhe hi aafreen lagti hai

Jahlak dikhla ja, ek bar aaja
mere sapno ko haqikat kar darya dikha ja
ye mosom ka hai rangeen sama
apne ashiq ko prem ka itr mehsoos kara ja

e humdum, e dilnashi
o badlo pe lehrati hawa ki sirkat
kuch palo mein hum pani ban ke beh jayenge
wo lamha aane se pehle apne husn se rubaru kara ja

jahlak dikhla ja, ek bar aaja!!!

Aapka Suroor


chaloge mere saath, tera saath hame pyara hai
intzaar mein tere har pal badi muskil se guzara hai
yun pyaar ki hado ka hame pata na tha;
kya aaj hamne har had ko par kar dala hai

tujhe door duniya se le jaunga
apne dil ka mehal tujhe dikhaunga
na lena izazat kuch kehne ki
har ruh ko tera gulam banaunga;

meri dhakano se saji sez hogi
teri sanson ki uspar khusbu hogi
tera jism odh loonga main
uski silwato ki mujhe zaroorat hogi

tera saath hai pyara hame
ise pana khuda-e-kismat hogi

Kyon Aisa Lagta Hai


ye husn hai unka jo kayamat lagta hai
sawan ki har boond ispe nayab moti lagta hai
hum barish se kyon shikayat kare
dil tujhe bahon mein lene ki ibadat karta hai

har ruh mein meri wo bas gaye hai aise
aag mein lipti teri low ho jaise
gawahi de raha hai chand aaj
sitare sharm se odh chuke hain badal jaise

meri jindagi teri sanson ki mohtaaj lagti hai
tujhe pyaar karna ik pyaari saza aaj lagti hai
mein hosh mein hoon madhosh to nahi
E janashi mujhe malika-e-husn tu aaj lagti hai

Iss Dil Ko Talash Thi Jiski


shiddat se hame talash thi jiski
puri nahi thi magar aas thi jiski
rehte they jo bas khyalo mein hamare
na jane inn ankhon mein basi wo tasveer thi kiski

Mehsoos kiya hai hamne uske ehsaas ko
tere labo se andaje baya lagta hai
ye mera sapne hai jo haikikat hua hai
jane kyon teri har baat pe aitbaar hota hai

zoostju pe teri hum ji na payenge
na muksura aise, sayad hum mar jayenge
izhaar-e-ishq sanam yu nazro se na kar
sile hont tere meri dhadkano ko juda kar jayenga

Chaahat

"Unhe pane ki chaahat
Apna banane ki chaahat
Kareeb aane ki chaahat
Kuch kehne ki chaahat"
"Ab to chaahat mein unki hum ruswa ho gaye hain
Akele ho gaye hain, Tanha ho gaye hain
Sayad khud se khafa ho gaye hain
Zamane se juda ho gaye hain"
"Chaahat mein unki hum ji na payenge
Nahi mile hamein to hum mar jayenge
Iss darde dil ki dawa dila do
Koi mujhe mere mehboob se mila do"
"Intzaar ab aur saha jata nahi
Ke chaahat mein unki dum nikal pata nahi
kya karein hum to majdhar mein phasein hain
Koi mujhe ik kasti dila do"
"Mujhe mere mehboob se mila do!!"

Ehsaas

Hawaoon se poocho, Fijaon se poocho
Suraj se poocho, Chand Sitaro se poocho
Mujhe pyaar hai tumse kitna
Zamane se nahi mere dil se poocho
Kitna pyaar karte hain hum tumse
Hum ye kabhi jaan nahi paate
Pyaar karte ho tum mujhse
Hum ye kabhi pooch nahi paate
Ae Khoobsurate mallika, tu khud hi bata
Pyaar karti hai mujhse ik baat to bata
Waqif nahi hum zamane ke dard se
ke tadpane ke liye hamein, Tera pyaar hi kafi hai
Ab to unki chaal mein sararat jhalakne lagi hai
Honto par muskaan rehne lagi hai
Woh Pyaar karte hain hamse
Unki ankhein hamse ye kehne lagi hain

Main Tumse Pyar Karta Hoon

Aasmaan mein taare jitne hain
Sagar ke kinare jitne hain
Iss jameen ki lambai jitni hai
Aakash tak Unchai jitni hai
In sabse jada mein tumse pyaar karta hoon
Barish ki girti boondo ko dekho
Pani ki behti dhara ko dekho
Jiwan ke har rang ko dekho
Sine mein dhadakte iss dil ko dekho
In sabse jada mein tumse pyaar karta hoon
Achai ho, Burai ho
Bheed ho, Tanhai ho
Pass ho, Door ho
Mere ho, Ya kisi..........
Kuch bhi ho lekin mein tumse pyaar karta hoon
Mera dil ek hai, Meri jaan ek hai
izhaar ek hai, karar ek hai
Zindagi ek hai, Mera Pyaar ek hai
Kyonki mein sirf tumse pyaar karta hoon

Dil hi Dil mein

Aisi ankhon se na dekh
nazar mil zane se darta hum
Dil toot na jaye mera
dhadkano ke ruk jane se darta hun

Haye ye muskurana tera
hamein katal kar gaya
Na churi chali Na talwar
hamara dum nikal gaya

Dhire se ban gaye ho jindagi
meri sanson mein rehne lage ho
Kyon lagta hai aisa tum
mujhse pyar karne lage ho

Yeh dil pyar karta hai tumse
magar izhaar karne se darta hai
Tum na na keh do, kuch kehne se pehle
iss ehsaas se darta hai

Yaad

Kyon hota hai aisa
Kyon dil kisi ko yaad karta hai

Har mausum badal jaata hai
Har safar kat jaata hai
Uf, kambakt hai dil hamara
bas unhi ko yaad karta hai

eh kas aisa hota
woh hamare paas hote
hum bhi khusbu ki tareh
us phool ke sath hote

Kismat thi hamari aisi
hum kante reh gaye
wo gulab le gaye
hum dekhte reh gaye

Tu Pass Nahi

Ankhon mein basi hai tasveer teri
phijoan se khusbu aati hai
Tu pass nahi hoti hai
teri yaad boht tadpati hai

Ruth gaye ho hamse
ya aur koi baat hai
Dil ki awaz nahi sunte
tumse milne ki fariyaad hai

Hum intzaar kar rahe hain
ik jhalak to dikha ja
Haqqiqat na sahi, apna
sapna hi dikha ja

Hamne pyar kiya hai
zamane se nahi darte
Ik awaz de zalim
hum marne se nahi darte

Tanhayee Mein

Hum to tanhayee mein bheed ka ehsaas karte hain
kisi ke paas hone ka ehsaas karte hain
Na jaane kya hota hai bhete-bhete
kisi ke chune ka ehsaas karte hain

Khyalo mein unke khoye
bas bare mein unke sochte hain
Rehte hain dil mein hamare
unke didar ke bare mein sochte hain

Ankhon mein bas gayee hai tasveer unki
hamari sanson mein bas gaye hain
Phir bhi lagta hai sil gaye hain hont hamare
pass hone par unke kuch kehne ke bare mein sochte hain

Naraaz Hai Zindagi Hamse

Kyon naraj hai zindagi hamse
Kyon ruswaeon se milati rehti hai
Kya zamane mein hum akele hain
Ya kismat hi hamne aisi payee hai

Kitni kadwi hai ye haqqiqat
Kitni beruki ye saccahi hai
Uppar wale ne banaya hai aisa, ya
Takdir hi aisi payee hai

Lagta hai hum akele reh gaye
Zamane ki iss bhid mein
Koi humdum na mila, koi sahara na mila
kya zindagi hamne payee hai

kitne paresaan hai hum
kisse hum baat karein
Lagta hai koi nahi hai hamara
kya zidagi se faryaad karein

Yeh bhi mod hai zindagi ka, aur bhi ayenge
Cahlti rahegee zindagi, hum bhi chalte zayenge

Kya Yahee Pyaar Hai

Har ada pe unki
marne ka ji karta hai
Unhe pyaar karne ka
kareeb rehne ka ji karta hai
Ab to zindagi aur kat-ti nahi
kisi ki dhadkano ko apni saanse banane ka ji karta hai

Kyon lagta hai aisa
dil nahi hai paas
De diya hai unko
unke jane ke baad
Ab to tanha safar aur katta nahi
kyon kabhi jine ka kabhi marne ka ji karta hai

Ab to har pal sochte hain unko
asman mein kabhi taro mein dekhte hain unko
Kyon unhe pane ki khatir
had se gujarne ka ji karta hai

Kitna Muskil Hai

Bada Muskil hai iss dil ko samjhana
Unke pass aana, unse door jana
Har lamha unse milne ki cah hai
kuch kehne ki cah hai, unko pane ki cah hai

Gar kabhi moka mila to jaane na denge
dil dhadakta hai unke liye, hum bata hi denge
Itne pathar to nahi, dil tod denge
hamein chod denge, kuch saanse aur na denge

Ae pyar ke devta toda hamara bhi saath de
akele hain hum, hamein bhi kisi ka saath de
Kat rahi hai zindagi hamari bekaar mein
intzaar mein, intzaar mein, aur bas intzaar mein

Jaan Gaye Hum Bhi

Hamein to pyaar hua
Magar izhar na ho paya
Dil dhadakta hai unke liye
kabhi ikrar na ho paya

Na-zane ye kya ho raha hai
Kya hamein bhi pyaar ho raha hai

Tanhayee mein unko yaad karte hain
Sapno mein unko dekhte hain
Har ruh mein bas gaye hain wo
Apni sanso mein mehsoos karte hain

Dekhte they auro ko pyar karte
baat karte, dil bekaraar karte
Ab to hum bhi unhi mein se hain
pyar ke do char sabd jaan jane ke baad

Izhare Dil

Nawaza hai kudrat ne khoobsurti se
Sabse juda chirag ho tum
Jal rahi hai sama iss dil mein
Haqqiqat ho ya khab ho tun

Din ke ujale mein hamne taron ko dekha
Behte pani ki lakiron ko band ankhon se dekha
Ik chehra tha aisa jo sapna tha hamara
Dekha tumhe to hamne us chehre ko dekha

Apne ko Apne se kabhi juda na karna
Sab kuch karna magar dil majboor na karna
Jindagi ke safar mein khade hain intzaar mein apke
Pyar karte ho hamse, izhaar jaroor karna

Is Dil Ki Bekarari

Rehta hai dil bekarar
Aata nahi hai karar
Pyar karne laga hai dil
Hamein rehne laga hai intzaar

Zara si chuan se ehsaas naya hota hai
Hamari har baat mein bas zikr unka hota hai
Zo Sunte hain wo awaaz unki hoti hai
Ankhein band karne par tasveer unki hoti hai
Nahi hote hain saath hamare
phir bhi saath rehne ka ehsaas hota hai

Nadan hain wo hamar pyar nahi samajte
Dil ban gaye hain kabhi ehsaas nahi karte
Gar huee mohobat meharban hamare paas honge
Hum bhi saye ki tareh unke saath honge

Aey dil mere bekarar
Toda intzaar kar
Tujhe ayega karar
Apne pyaar ka izhaar kar

Dil Dhoondta Hai

Dil dhoondta hai jise woh tasveer nahi milti
Milti hain sanse magar zindagi nahi milti

Har kadam pe ruk jate hain
Har aahat pe sar uthate hain
Paas hote hain wo magar
Kabhi nazarein nahi milti

Band ankhon se unko dhoonde hain
Har dhadkan mein mehsoos karte hain
Chup gaye hain saye mein hamare
Dil ki aawaz nahi sunte hain

Ye mohobat ka ayena hai
Yun nazarein na chura
Mere iss sune jiwan ke sangeet mein
Kuch dhune apne pyar ki mila

Arzoo iss dil ki

Kitni khoobsorat hain ankhain teri
Us par dhire se tera ye palke jhukana
ye surk gulabi hont tere
hole se tera ye muskana

Hai phool sa komal badan tera
Us par ye tera ithlana
Such hai tu bala hai aisi
Tujhe aata hai adaon ke teer chalana

Sheeshe sa tarasa badan hai tera
Khoobsorati ka nayab tohfa hai tu
Kisi ke sapno ki haqqiqat hai tu
Kisi ke dil ka karar hai tu

Gar mil gayi tu hamein
Kismat ko meharbaan samjhenge
Ik jaan hai hamare paas
Woh bhi tere naam kar denge

Agar hum kahein aur wo muskura dein

Agar hum kahein aur wo muskura dein
Hum unke liye zindagi luta dein

Har ik morr par ghamon ko bhula dein
Chalo zindagi ko mohobat bana dein

Agar khud ko bhule to kuch bhi na bhule
Ke chahat mein unki khud ko bhula dein

Kabhi gum ki andhi zinhe chu na paye
wafaon ke hum wo nazmein bana dein

Qayamat ke diwane kehte hain humse
chalo unke chehre se parda hata dein

Saza dein Sila dein Bana dein Mita dein
Magar wo koi faisla to suna dein

Andekha Pyar

In jheel si gehri ankhon mein
doob jaane ka ji karta hai
Tere in resami balo ke saye mein
so jaane ka ji karta hai

Ye gulab se lal hont tere
ye chadta hua sabab
Tere aagosh mein akar
apne pyar ka izhaar karne ka ji karta hai

Chune se tujko ehsaas naya hota hai
Na ho tu paas to ik dard naya hota hai
Awaz deta hai, bas tumahri baat karta hai dil
Tumhe pane ka, apna banane ka ji karta hai

Hum to bas tumare sath rehna chate hain
Tumahri sanso ko apni sanse banana chate hain
Akhir tum hi to ho mera andekha pyar
Bas tumare sath zindagi bitane ka ji karta hai

Aarzoo Hai Hamari

Ea janasi jara mud ke dekh
dillagI ki hai hamne, tu bhi kar ke dekh
Had ho rahi hai ab intzaar ki
kareeb aa hamein pyar kar ke dekh

Hamnein to phijaon mein pyar dekha hai
Har rang mein pyar dekha hai
Chalti hawaon mein, behte pani mein pyaar dekha hai
Gar hai tujhe bhi mohobat
Zamaane se na dar, izhaar kar ke dekh

Ki hai tumse mohobat hum ye kaise batayein
Chod denge duniya agar tum mil na paye
Ea khoobsurati ki mallika o pariyon ki rani
Meri pehli mohobat, mere dil ki kahani
Pyar ke iss sagar mein kuch gote laga ke to dekh